Mushkilon se Ishq Ho Chala Hain

Kathinayee sankoch se na dena, ae naseeb,
Unchaaye irado mein banayee hain humne
Raaste kahin aasaan na kar dena,
Aaj mushkilon se ishq ho chala hain

Saaya banta hain roshni ke hone par,
Jugnu kab darein hain raat ke aane par
Nazarien mila loon aaj in andheron se,
Kyunki subeh ke suraj se ishq ho chala hain

Shuruvaati josh nahin tha wo mera,
Tay shuda hain aashaon ki shama
Aandhiyan aur bhi chahe tej ho jaye,
Ab to hawaaon se ishq ho chala hain

Parajay ka bhay, udaasi ke ghar
Hoslein denge mere dastak, us maat ke dar par,
Ahankaari junoon nahin hain ye mera
Vineet safalta se ishq ho rakha hain