Bematlab hi kareeb aate ho..
Bewajeh hi angoothi ko chu lete ho..
Chupke se kaanon me Kuch keh gaye...
Aur meri aankein phir sharmayee..

Aaj yuhi to nahi....wohi taraana gungunaaya hoga,
Gaate hue meri taraf.. yuhi to Nahee Nazar padi..
Aur humne muskurahat chupayee...

Meri joothi naarazgi par... Tumhari shararat
Jaan booj kar.. Door jaate tumhare kadmon ki aahat..
Aur humne nazrein.. Badi mushkil se churayee..


Badmaash...

Phir in udaasi ke palon mein bhi,
Tumhari sharatein muskurati hain..
Mere aasuon ko ched deti hain..
Aur toot-ti hui himat gudgudaati hain..

Jahan bhar k shor k beech,
Tumhari khamoshi mere saath hain,
Akele hun par,
Dahine haath mein tumhara baaya haath hain

Aur in udaasi k pal mein bhi..
Tum paas ho mere, Hamesha...
Kuch din hi jaana tha tumhe..
Ek tukda tumhara ab zehen mein mere... Hamesha..

Mera sahas hain tumse...




kaha sun bhi liya aur maan bhi liya.. 
chote se bahane se vaada mod bhi diya
keh bhi diya aur kahaani rahi ansuni .. 
choo kar hi pooch lete, phool se, 
aaj rang kyun ud gaya... 




kyun . . .

Kathinayee sankoch se na dena, ae naseeb,
Unchaaye irado mein banayee hain humne
Raaste kahin aasaan na kar dena,
Aaj mushkilon se ishq ho chala hain

Saaya banta hain roshni ke hone par,
Jugnu kab darein hain raat ke aane par
Nazarien mila loon aaj in andheron se,
Kyunki subeh ke suraj se ishq ho chala hain

Shuruvaati josh nahin tha wo mera,
Tay shuda hain aashaon ki shama
Aandhiyan aur bhi chahe tej ho jaye,
Ab to hawaaon se ishq ho chala hain

Parajay ka bhay, udaasi ke ghar
Hoslein denge mere dastak, us maat ke dar par,
Ahankaari junoon nahin hain ye mera
Vineet safalta se ishq ho rakha hain

Mushkilon se Ishq Ho Chala Hain

Aap ke aa jaane se,

Khaamoshi ban jaati hain daastan,
Tanhaayee ban jaati hain muskaan,
Roshni ko subeh keh dete hain,
Behta pani cham cham baarish ho jata hain,

teri shaitaani hain, shaam ke is suraj mein,
teri hasi sunayee deti hain abb, badal ke shor mein
tumse peecha choodaane johri bazaar chale gaye,
teri aankein yaad ayee, heeron ke bhi haar mein

Aap ke aa jaane se...

(Yes, there is a URL in the poem, kindly click on it :P )

Aap ke aa jaane se

Kahin sawaalon aur jawabon ke beech,
Kahin kaale badal aur baarish ke beech,
Baat ruki hui si hain....

Kahin lafzon aur vaadon ke beech,
Kahin paas hone aur choone ke beech,
Meri saasien ruki hui si hain ..

Kabhi lage aaj aur kal ke beech,
Kabhi lage chori aur marzi ke beech,
Kahani ruki padi si hain...

Baat ruki hui si hain

The pain of an unfulfilled dream will never go away. The best we can do is to repress it; to an area of our brain that we will seldom access. By contrast, the embarrassment out of not being able to attain that very dream after having tried almost always eventually goes away.

Cannot not try