sapnon ko bada rahne do

Choti si ho chali hain duniya,
Chote ho gaye hain sab ke ghar
Lakshya bhi door se hain dikhta chota,
Bas mere sapnon ko bada rahne do

Thak jaate hain dil zaroor,
Par fark thakne aur haarne mein rakhun
Chahe kaafilein kuch der rok do,
Par sapnon ko bada rehne do

Manzilein ittefakan nahin khilti,
Pasine se seenchi jaati hain
Iraadon mein rakhun unchaeeyan,
Aur sapnon ko bada rehne dun

Jab koi naa tha mere saath
Chupke se aayee maat,
Hoslon mein aandhi akele jalayee
Aur sapnon ko bada rehne diya

Jab safalta ke padav ayenge,
Aabhaar se muskuraenge
Jinhone himmat di thi, saath unhe kar lenge,
Sapnon ko AUR bada kar lenge